Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe

hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe

subh-e-watan hai KHanda-e-dandan-numa mujhe

DhunDe hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji

jis ki sada ho jalwa-e-barq-e-fana mujhe

mastana tai karun hun rah-e-wadi-e-KHayal

ta baz-gasht se na rahe muddaa mujhe

karta hai bas-ki bagh mein tu be-hijabiyan

aane lagi hai nikhat-e-gul se haya mujhe

khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla

sheron ke intiKHab ne ruswa kiya mujhe

wan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz

yan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe

parwaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost

baal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe

az-KHud-guzashtagi mein KHamoshi pe harf hai

mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe

ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu

ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe

main ne junun se ki jo 'asad' iltimas-e-rang

KHun-e-jigar mein ek hi ghota diya mujhe

hai pech-tab rishta-e-sham-e-sahar-gahi

KHajlat gudazi-e-nafas-e-na-rasa mujhe

yan aab-o-dana mausam-e-gul mein haram hai

zunnar-e-wa-gusista hai mauj-e-saba mujhe

yakbar imtihan-e-hawas bhi zarur hai

ai josh-e-ishq baada-e-mard-azma mujhe

(1385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hai Aarmidagi Mein Nikohish Baja Mujhe in PDF.