Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai

har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai

tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai

na shoale mein ye karishma na barq mein ye ada

koi batao ki wo shoKH-e-tund-KHu kya hai

ye rashk hai ki wo hota hai ham-suKHan tum se

wagarna KHauf-e-bad-amozi-e-adu kya hai

chipak raha hai badan par lahu se pairahan

hamare jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga

kuredte ho jo ab rakh justuju kya hai

ragon mein dauDte phirne ke hum nahin qail

jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai

wo chiz jis ke liye hum ko ho bahisht aziz

siwae baada-e-gulfam-e-mushk-bu kya hai

piyun sharab agar KHum bhi dekh lun do-chaar

ye shisha o qadah o kuza o subu kya hai

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi

to kis umid pe kahiye ki aarzu kya hai

hua hai shah ka musahib phire hai itraata

wagarna shahr mein 'ghaalib' ki aabru kya hai

(1720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai in PDF.