Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main

hairan hun dil ko roun ki piTun jigar ko main

maqdur ho to sath rakhun nauhagar ko main

chhoDa na rashk ne ki tere ghar ka nam lun

har ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main

jaana paDa raqib ke dar par hazar bar

ai kash jaanta na tere rah-guzar ko main

hai kya jo kas ke bandhiye meri bala Dare

kya jaanta nahin hun tumhaari kamar ko main

lo wo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-nam hai

ye jaanta agar to luTata na ghar ko main

chalta hun thoDi dur har ek tez-rau ke sath

pahchanta nahin hun abhi rahbar ko main

KHwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar

kya pujta hun us but-e-bedad-gar ko main

phir be-KHudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar

jata wagarna ek din apni KHabar ko main

apne pe kar raha hun qayas ahl-e-dahr ka

samjha hun dil-pazir mata-e-hunar ko main

'ghaalib' KHuda kare ki sawar-e-samand-e-naz

dekhun ali bahadur-e-ali-guhar ko main

(2680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hairan Hun Dil Ko Roun Ki PiTun Jigar Ko Main in PDF.