Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho

hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho

ki chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se wa ho

ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maasi bhi

bharun yak-gosha-e-daman gar aab-e-haft-dariya ho

agar wo sarw-qad garm-e-KHiram-e-naz aa jawe

kaf-e-har-KHak-e-gulshan shakl-e-qamri nala-farsa ho

baham baalidan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chahe hai

ki tar-e-jada bhi kohsar ko zunnar-e-mina ho

harif-e-wahshat-e-naz-e-nasim-e-ishq jab aaun

ki misl-e-ghuncha saz-e-yak-gulistan dil muhayya ho

bajae dana KHirman yak-bayaban baiza-e-qumri

mera hasil wo nusKHa hai ki jis se KHak paida ho

kare kya saz-e-binish wo shahid-e-dard-agahi

jise mu-e-dimagh-e-be-KHudi KHwab-e-zuleKHa ho

dil-e-jun-shama bahr-e-dawat-e-nazzara layani

nigah labrez-e-ashk o sina mamur-e-tamanna ho

na dekhen ru-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kafuri

KHudaya is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamasha ho

(1470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hasad Se Dil Agar Afsurda Hai Garm-e-tamasha Ho in PDF.