Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami

hasil se hath dho baiTh ai aarzu-KHirami

dil josh-e-girya mein hai Dubi hui asami

us shama ki tarah se jis ko koi bujha de

main bhi jale-huon mein hun dagh-e-na-tamami

karte ho shikwa kis ka tum aur bewafai

sar piTte hain apna hum aur nek-nami

sad-rang-e-gul katarna dar-parda qatl karna

tegh-e-ada nahin hai paband-e-be-niyami

tarf-e-suKHan nahin hai mujh se KHuda-na-karda

hai nama-bar ko us se dawa-e-ham-kalami

taqat fasana-e-baad andesha shoala-ijad

ai gham hunuz aatish ai dil hunuz KHami

har chand umr guzri aazurdagi mein lekin

hai sharh-e-shauq ko bhi jun shikwa na-tamami

hai yas mein 'asad' ko saqi se bhi faraghat

dariya se KHushk guzre maston ki tishna-kaami

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hasil Se Hath Dho BaiTh Ai Aarzu-KHirami in PDF.