Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya

hawas ko hai nashat-e-kar kya kya

na ho marna to jine ka maza kya

tajahul-peshgi se muddaa kya

kahan tak ai sarapa naz kya kya

nawazish-ha-e-beja dekhta hun

shikayat-ha-e-rangin ka gila kya

nigah-e-be-mahaba chahta hun

taghaful-ha-e-tamkin-azma kya

farogh-e-shola-e-KHas yak-nafas hai

hawas ko pas-e-namus-e-wafa kya

nafas mauj-e-muhit-e-be-KHudi hai

taghaful-ha-e-saqi ka gila kya

dimagh-e-itr-e-pairahan nahin hai

gham-e-awargi-ha-e-saba kya

dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahar

hum us ke hain hamara puchhna kya

muhaba kya hai main zamin idhar dekh

shahidan-e-nigah ka KHun-baha kya

sun ai ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun

shikast-e-qimat-e-dil ki sada kya

kiya kis ne jigar-dari ka dawa

shakeb-e-KHatir-e-ashiq bhala kya

ye qatil wada-e-sabr-azma kyun

ye kafir fitna-e-taqat-ruba kya

bala-e-jaan hai 'ghaalib' us ki har baat

ibarat kya ishaarat kya ada kya

(1660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hawas Ko Hai Nashat-e-kar Kya Kya in PDF.