Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle

hazaron KHwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle

bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

Dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par

wo KHun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aae hain lekin

bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle

bharam khul jae zalim tere qamat ki daraazi ka

agar is turra-e-pur-pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle

magar likhwae koi us ko KHat to hum se likhwae

hui subh aur ghar se kan par rakh kar qalam nikle

hui is daur mein mansub mujh se baada-ashami

phir aaya wo zamana jo jahan mein jam-e-jam nikle

hui jin se tawaqqo KHastagi ki dad pane ki

wo hum se bhi ziyaada KHasta-e-tegh-e-sitam nikle

mohabbat mein nahin hai farq jine aur marne ka

usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle

kahan mai-KHane ka darwaza 'ghaalib' aur kahan waiz

par itna jaante hain kal wo jata tha ki hum nikle

(4426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hazaron KHwahishen Aisi Ki Har KHwahish Pe Dam Nikle in PDF.