Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa

jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa

charKH wa karta hai mah-e-nau se aaghosh-e-widaa

shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan

shoala-e-awaz-e-KHuban par ba-hangam-e-simaa

jun par-e-taus jauhar taKHta mashq-e-rang hai

bas-ki hai wo qibla-e-aina mahw-e-iKHtiraa

ranjish-e-hairat-sarishtan sina-safi peshkash

jauhar-e-aina hai yan gard-e-maidan-e-nazaa

chaar su-e-dahr mein bazar-e-ghaflat garm hai

aql ke nuqsan se uThta hai KHayal-e-intifaa

aashna 'ghaalib' nahin hain dard-e-dil ke aashna

warna kis ko mere afsane ki tab-e-istimaa

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Jada-e-rah KHur Ko Waqt-e-sham Hai Tar-e-shuaa in PDF.