Jab Tak Dahan-e-zaKHm Na Paida Kare Koi

jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi

mushkil ki tujh se rah-e-suKHan wa kare koi

aalam ghubar-e-wahshat-e-majnun hai sar-ba-sar

kab tak KHayal-e-turra-e-laila kare koi

afsurdagi nahin tarab-insha-e-iltifat

han dard ban ke dil mein magar ja kare koi

rone se ai nadim malamat na kar mujhe

aaKHir kabhi to uqda-e-dil wa kare koi

chaak-e-jigar se jab rah-e-pursish na wa hui

kya faeda ki jaib ko ruswa kare koi

laKHt-e-jigar se hai rag-e-har-KHar shaKH-e-gul

ta chand bagh-bani-e-sahra kare koi

nakaami-e-nigah hai barq-e-nazara-soz

tu wo nahin ki tujh ko tamasha kare koi

har sang o KHisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast

nuqsan nahin junun se jo sauda kare koi

sar bar hui na wada-e-sabr-azma se umr

fursat kahan ki teri tamanna kare koi

hai wahshat-e-tabiat-e-ijad yas-KHez

ye dard wo nahin ki na paida kare koi

bekari-e-junun ko hai sar piTne ka shughl

jab hath TuT jaen to phir kya kare koi

husn-e-farogh-e-shamma-e-suKHan dur hai 'asad'

pahle Dil-e-gudaKHta paida kare koi

wahshat kahan ki be-KHudi insha kare koi

hasti ko lafz-e-mani-e-anqa kare koi

jo kuchh hai mahw-e-shoKHi-e-abru-e-yar hai

aankhon ko rakh ke taq pe dekha kare koi

arz-e-sarishk par hai faza-e-zamana tang

sahra kahan ki dawat-e-dariya kare koi

wo shoKH apne husn pe maghrur hai 'asad'

dikhla ke us ko aaina toDa kare koi

(1621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Dahan-e-zaKHm Na Paida Kare Koi In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Jab Tak Dahan-e-zaKHm Na Paida Kare Koi is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Jab Tak Dahan-e-zaKHm Na Paida Kare Koi for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Jab Tak Dahan-e-zaKHm Na Paida Kare Koi in PDF.