Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha

jab ba-taqrib-e-safar yar ne mahmil bandha

tapish-e-shauq ne har zarre pe ek dil bandha

ahl-e-binash ne ba-hairat-kada-e-shoKHi-e-naz

jauhar-e-aina ko tuti-e-bismil bandha

yas o ummid ne yak-arbada maidan manga

ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sail bandha

na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmun 'ghaalib'

garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha

istilahat-e-asiran-e-taghaful mat puchh

jo girah aap na kholi use mushkil bandha

yar ne tishnagi-e-shauq ke mazmun chahe

hum ne dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha

tapish-e-aina parwaz-e-tamanna lai

nama-e-shauq ba-haal-e-dil-e-bismil bandha

dida ta-dil hai yak-aina charaghan kis ne

KHalwat-e-naz pe pairaya-e-mahfil bandha

na-umidi ne ba-taqrib-e-mazamin-e-KHumar

kucha-e-mauj ko KHamyaza-e-sahil bandha

mutrib-e-dil ne mere tar-e-nafas se 'ghaalib'

saz par rishta pae naghma-e-'bedil' bandha

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Jab Ba-taqrib-e-safar Yar Ne Mahmil Bandha in PDF.