Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana

ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana

dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana

tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad

tha likha baat ke bante hi juda ho jaana

dil hua kasmakash-e-chaara-e-zehmat mein tamam

miT gaya ghisne mein is uqde ka wa ho jaana

ab jafa se bhi hain mahrum hum allah allah

is qadar dushman-e-arbab-e-wafa ho jaana

zoaf se girya mubaddal ba-dam-e-sard hua

bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana

dil se miTna teri angusht-e-hinai ka KHayal

ho gaya gosht se naKHun ka juda ho jaana

hai mujhe abr-e-bahaari ka baras kar khulna

rote rote gham-e-furqat mein fana ho jaana

gar nahin nikhat-e-gul ko tere kuche ki hawas

kyun hai gard-e-rah-e-jaulan-e-saba ho jaana

baKHshe hai jalwa-e-gul zauq-e-tamasha 'ghaalib'

chashm ko chahiye har rang mein wa ho jaana

ta ki tujh par khule ejaz-e-hawa-e-saiqal

dekh barsat mein sabz aaine ka ho jaana

(1841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ishrat-e-qatra Hai Dariya Mein Fana Ho Jaana in PDF.