Junun Ki Dast-giri Kis Se Ho Gar Ho Na Uryani

junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani

gareban-chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par

ba-rang-e-kaghaz-e-atish-zada nairang-e-betabi

hazar aaina dil bandhe hai baal-e-yak-tapidan par

falak se hum ko aish-e-rafta ka kya kya taqaza hai

mata-e-burda ko samjhe hue hain qarz rahzan par

hum aur wo be-sabab ranj-ashna dushman ki rakhta hai

shua-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rauzan par

fana ko saunp gar mushtaq hai apni haqiqat ka

farogh-e-tala-e-KHashak hai mauquf gulKHan par

'asad' bismil hai kis andaz ka qatil se kahta hai

ki mashq-e-naz kar KHun-e-do-alam meri gardan par

fusun-e-yak-dili hai lazzat-e-bedad dushman par

ki wajd-e-barq jun parwana baal-afshan hai KHirman par

takalluf KHar-KHar-e-iltimas-e-be-qarari hai

ki rishta bandhta hai pairahan angusht-e-sozan par

ye kya wahshat hai ai diwane pesh-az-marg wawaila

rakkhi be-ja bina-e-KHana-e-zanjir-e-shewan par

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ki Dast-giri Kis Se Ho Gar Ho Na Uryani In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Junun Ki Dast-giri Kis Se Ho Gar Ho Na Uryani is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Junun Ki Dast-giri Kis Se Ho Gar Ho Na Uryani for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Junun Ki Dast-giri Kis Se Ho Gar Ho Na Uryani in PDF.