Jo Na Naqd-e-dagh-e-dil Ki Kare Shola Pasbani
jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani
to fasurdagi nihan hai ba-kamin-e-be-zabani
mujhe us se kya tawaqqo ba-zamana-e-jawani
kabhi kudki mein jis ne na suni meri kahani
yun hi dukh kisi ko dena nahin KHub warna kahta
ki mere adu ko ya rab mile meri zindagani
(965) Peoples Rate This