Jis ZaKHm Ki Ho Sakti Ho Tadbir Rafu Ki

jis zaKHm ki ho sakti ho tadbir rafu ki

likh dijiyo ya rab use qismat mein adu ki

achchha hai sar-angusht-e-hinai ka tasawwur

dil mein nazar aati to hai ek bund lahu ki

kyun Darte ho ushshaq ki be-hauslagi se

yan to koi sunta nahin fariyaad kisu ki

dashne ne kabhi munh na lagaya ho jigar ko

KHanjar ne kabhi baat na puchhi ho gulu ki

sad-haif wo nakaam ki ek umr se 'ghaalib'

hasrat mein rahe ek but-e-arbada-ju ki

go zindagi-e-zahid-e-be-chaara abas hai

itna hai ki rahti to hai tadbir wazu ki

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis ZaKHm Ki Ho Sakti Ho Tadbir Rafu Ki In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Jis ZaKHm Ki Ho Sakti Ho Tadbir Rafu Ki is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Jis ZaKHm Ki Ho Sakti Ho Tadbir Rafu Ki for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Jis ZaKHm Ki Ho Sakti Ho Tadbir Rafu Ki in PDF.