Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri

kab wo sunta hai kahani meri

aur phir wo bhi zabani meri

KHalish-e-ghamza-e-KHun-rez na puchh

dekh KHunaba-fishani meri

kya bayan kar ke mera roenge yar

magar aashufta-bayani meri

hun za-KHud rafta-e-baida-e-KHayal

bhul jaana hai nishani meri

mutaqabil hai muqabil mera

ruk gaya dekh rawani meri

qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun

saKHt arzan hai girani meri

gard-baad-e-rah-e-betabi hun

sarsar-e-shauq hai bani meri

dahan us ka jo na malum hua

khul gai hech madani meri

kar diya zof ne aajiz 'ghaalib'

nang-e-piri hai jawani meri

(1590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kab Wo Sunta Hai Kahani Meri in PDF.