Kahte To Ho Tum Sab Ki But-e-ghaaliya-mu Aae

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

yak martaba ghabra ke kaho koi ki wo aae

hun kashmakash-e-naza mein han jazb-e-mohabbat

kuchh kah na sakun par wo mere puchhne ko aae

hai saiqa o shoala o simab ka aalam

aana hi samajh mein meri aata nahin go aae

zahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakirain

han munh se magar baada-e-doshina ki bu aae

jallad se Darte hain na waiz se jhagaDte

hum samjhe hue hain use jis bhes mein jo aae

han ahl-e-talab kaun sune tana-e-na-yafat

dekha ki wo milta nahin apne hi ko kho aae

apna nahin ye shewa ki aaram se baiThen

us dar pe nahin bar to kabe hi ko ho aae

ki ham-nafason ne asar-e-girya mein taqrir

achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aae

us anjuman-e-naz ki kya baat hai 'ghaalib'

hum bhi gae wan aur teri taqdir ko ro aae

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahte To Ho Tum Sab Ki But-e-ghaaliya-mu Aae In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kahte To Ho Tum Sab Ki But-e-ghaaliya-mu Aae is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kahte To Ho Tum Sab Ki But-e-ghaaliya-mu Aae for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kahte To Ho Tum Sab Ki But-e-ghaaliya-mu Aae in PDF.