Kal Ke Liye Kar Aaj Na KHissat Sharab Mein

kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

ye su-e-zan hai saqi-e-kausar ke bab mein

hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand

gustaKHi-e-farishta hamari janab mein

jaan kyun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama

gar wo sada samai hai chang o rabab mein

rau mein hai raKHsh-e-umr kahan dekhiye thame

ne hath bag par hai na pa hai rikab mein

utna hi mujh ko apni haqiqat se bod hai

jitna ki wahm-e-ghair se hun pech-o-tab mein

asl-e-shuhud-o-shahid-o-mashhud ek hai

hairan hun phir mushahida hai kis hisab mein

hai mushtamil numud-e-suwar par wajud-e-bahar

yan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab mein

sharm ek ada-e-naz hai apne hi se sahi

hain kitne be-hijab ki hain yun hijab mein

aaraish-e-jamal se farigh nahin hunuz

pesh-e-nazar hai aaina daim naqab mein

hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain hum shuhud

hain KHwab mein hunuz jo jage hain KHwab mein

'ghaalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost

mashghul-e-haq hun bandagi-e-bu-turab mein

(4130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Ke Liye Kar Aaj Na KHissat Sharab Mein In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kal Ke Liye Kar Aaj Na KHissat Sharab Mein is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kal Ke Liye Kar Aaj Na KHissat Sharab Mein for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kal Ke Liye Kar Aaj Na KHissat Sharab Mein in PDF.