Kare Hai Baada Tere Lab Se Kasb-e-rang-e-farogh

kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh

KHat-e-piyala sarasar nigah-e-gul-chin hai

kabhi to is dil-e-shorida ki bhi dad mile

ki ek umr se hasrat-parast-e-baalin hai

baja hai gar na sune nala-ha-e-bulbul-e-zar

ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-agin hai

'asad' hai naza mein chal bewafa bara-e-KHuda

maqam-e-tark-e-hijab o wida-e-tamkin hai

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kare Hai Baada Tere Lab Se Kasb-e-rang-e-farogh In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kare Hai Baada Tere Lab Se Kasb-e-rang-e-farogh is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kare Hai Baada Tere Lab Se Kasb-e-rang-e-farogh for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kare Hai Baada Tere Lab Se Kasb-e-rang-e-farogh in PDF.