Kya Tang Hum Sitam-zadagan Ka Jahan Hai
kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai
jis mein ki ek baiza-e-mor aasman hai
hai kaenat ko harakat tere zauq se
partaw se aaftab ke zarre mein jaan hai
haalanki hai ye sili-e-KHara se lala rang
ghafil ko mere shishe pe mai ka guman hai
ki us ne garm sina-e-ahl-e-hawas mein ja
aawe na kyun pasand ki ThanDa makan hai
kya KHub tum ne ghair ko bosa nahin diya
bas chup raho hamare bhi munh mein zaban hai
baiTha hai jo ki saya-e-diwar-e-yar mein
farman-rawa-e-kishwar-e-hindustan hai
hasti ka e'tibar bhi gham ne miTa diya
kis se kahun ki dagh jigar ka nishan hai
hai bare e'timad-e-wafa-dari is qadar
'ghaalib' hum is mein KHush hain ki na-mehrban hai
dehli ke rahne walo 'asad' ko satao mat
be-chaara chand roz ka yan mehman hai
(1059) Peoples Rate This