Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar

kyun jal gaya na tab-e-ruKH-e-yar dekh kar

jalta hun apni taqat-e-didar dekh kar

aatish-parast kahte hain ahl-e-jahan mujhe

sargarm-e-nala-ha-e-sharar-bar dekh kar

kya aabru-e-ishq jahan aam ho jafa

rukta hun tum ko be-sabab aazar dekh kar

aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se

marta hun us ke hath mein talwar dekh kar

sabit hua hai gardan-e-mina pe KHun-e-KHalq

larze hai mauj-e-mai teri raftar dekh kar

wa-hasrata ki yar ne khincha sitam se hath

hum ko haris-e-lazzat-e-azar dekh kar

bik jate hain hum aap mata-e-suKHan ke sath

lekin ayar-e-taba-e-KHaridar dekh kar

zunnar bandh subha-e-sad-dana toD Dal

rah-rau chale hai rah ko hamwar dekh kar

in aablon se panw ke ghabra gaya tha main

ji KHush hua hai rah ko pur-KHar dekh kar

kya bad-guman hai mujh se ki aaine mein mere

tuti ka aks samjhe hai zangar dekh kar

girni thi hum pe barq-e-tajalli na tur par

dete hain baada zarf-e-qadah-KHwar dekh kar

sar phoDna wo 'ghaalib'-e-shorida haal ka

yaad aa gaya mujhe teri diwar dekh kar

(2875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kyun Jal Gaya Na Tab-e-ruKH-e-yar Dekh Kar in PDF.