Latafat Be-kasafat Jalwa Paida Kar Nahin Sakti

latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

chaman zangar hai aaina-e-baad-e-bahaari ka

harif-e-joshish-e-dariya nahin KHuddari-e-sahil

jahan saqi ho tu baatil hai dawa hoshiyari ka

bahaar-e-rang-e-KHun-e-gul hai saman ashk-bari ka

junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka

bara-e-hall-e-mushkil hun zi-pa uftada-e-hasrat

bandha hai uqda-e-KHatir se paiman KHaksari ka

ba-waqt-e-sar-niguni hai tasawwur intizaristan

nigah ko aablon se shaghl hai aKHtar-shumari ka

'asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki

ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozg-ari ka

(3291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Latafat Be-kasafat Jalwa Paida Kar Nahin Sakti In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Latafat Be-kasafat Jalwa Paida Kar Nahin Sakti is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Latafat Be-kasafat Jalwa Paida Kar Nahin Sakti for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Latafat Be-kasafat Jalwa Paida Kar Nahin Sakti in PDF.