Lazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur

lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur

tanha gae kyun ab raho tanha koi din aur

miT jaega sar gar tera patthar na ghisega

hun dar pe tere nasiya-farsa koi din aur

aae ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaun

mana ki hamesha nahin achchha koi din aur

jate hue kahte ho qayamat ko milenge

kya KHub qayamat ka hai goya koi din aur

han ai falak-e-pir jawan tha abhi aarif

kya tera bigaDta jo na marta koi din aur

tum mah-e-shab-e-chaar-dahum the mere ghar ke

phir kyun na raha ghar ka wo naqsha koi din aur

tum kaun se the aise khare dad-o-sitad ke

karta malak-ul-maut taqaza koi din aur

mujh se tumhein nafrat sahi nayyar se laDai

bachchon ka bhi dekha na tamasha koi din aur

guzri na bahar-haal ye muddat KHush o na-KHush

karna tha jawan-marg guzara koi din aur

nadan ho jo kahte ho ki kyun jite hain 'ghaalib'

qismat mein hai marne ki tamanna koi din aur

(3058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Lazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Lazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Lazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur in PDF.