Mahram Nahin Hai Tu Hi Nawa-ha-e-raaz Ka

mahram nahin hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka

yan warna jo hijab hai parda hai saz ka

rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazara hai

ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka

tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez

main aur dukh teri mizha-ha-e-daraaz ka

sarfa hai zabt-e-ah mein mera wagarna mein

toama hun ek hi nafas-e-jaan-gudaz ka

hain bas-ki josh-e-baada se shishe uchhal rahe

har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka

kawish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz

naKHun pe qarz is girah-e-nim-baz ka

taraj-e-kawish-e-gham-e-hijran hua 'asad'

sina ki tha dafina gohar-ha-e-raaz ka

(1556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahram Nahin Hai Tu Hi Nawa-ha-e-raaz Ka In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Mahram Nahin Hai Tu Hi Nawa-ha-e-raaz Ka is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Mahram Nahin Hai Tu Hi Nawa-ha-e-raaz Ka for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Mahram Nahin Hai Tu Hi Nawa-ha-e-raaz Ka in PDF.