Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki

manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki

qismat khuli tere qad o ruKH se zuhur ki

ek KHun-chakan kafan mein karoDon banao hain

paDti hai aankh tere shahidon pe hur ki

waiz na tum piyo na kisi ko pila sako

kya baat hai tumhaari sharab-e-tuhur ki

laDta hai mujh se hashr mein qatil ki kyun uTha

goya abhi suni nahin aawaz sur ki

aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj

uDti si ek KHabar hai zabani tuyur ki

go wan nahin pe wan ke nikale hue to hain

kabe se in buton ko bhi nisbat hai dur ki

kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawab

aao na hum bhi sair karen koh-e-tur ki

garmi sahi kalam mein lekin na is qadar

ki jis se baat us ne shikayat zarur ki

'ghaalib' gar is safar mein mujhe sath le chalen

haj ka sawab nazr karunga huzur ki

(1138) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Manzur Thi Ye Shakl Tajalli Ko Nur Ki in PDF.