Masjid Ke Zer-e-saya KHarabaat Chahiye

masjid ke zer-e-saya KHarabaat chahiye

bhaun pas aankh qibla-e-hajat chahiye

aashiq hue hain aap bhi ek aur shaKHs par

aaKHir sitam ki kuchh to mukafat chahiye

de dad ai falak dil-e-hasrat-parast ki

han kuchh na kuchh talafi-e-mafat chahiye

sikhe hain mah-ruKHon ke liye hum musawwari

taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye

mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko

ik-guna be-KHudi mujhe din raat chahiye

nashw-o-numa hai asl se 'ghaalib' furu ko

KHamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye

hai rang-e-lala-o-gul-o-nasrin juda juda

har rang mein bahaar ka isbaat chahiye

sar pa-e-KHum pe chahiye hangam-e-be-KHudi

ru su-e-qibla waqt-e-munajat chahiye

yani ba-hasb-e-gardish-e-paimana-e-sifat

aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye

(1911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masjid Ke Zer-e-saya KHarabaat Chahiye In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Masjid Ke Zer-e-saya KHarabaat Chahiye is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Masjid Ke Zer-e-saya KHarabaat Chahiye for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Masjid Ke Zer-e-saya KHarabaat Chahiye in PDF.