Milti Hai KHu-e-yar Se Nar Iltihab Mein

milti hai KHu-e-yar se nar iltihab mein

kafir hun gar na milti ho rahat azab mein

kab se hun kya bataun jahan-e-KHarab mein

shab-ha-e-hijr ko bhi rakhun gar hisab mein

ta phir na intizar mein nind aae umr bhar

aane ka ahd kar gae aae jo KHwab mein

qasid ke aate aate KHat ek aur likh rakhun

main jaanta hun jo wo likhenge jawab mein

mujh tak kab un ki bazm mein aata tha daur-e-jam

saqi ne kuchh mila na diya ho sharab mein

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale

kyun bad-guman hun dost se dushman ke bab mein

main muztarib hun wasl mein KHauf-e-raqib se

Dala hai tum ko wahm ne kis pech-o-tab mein

main aur hazz-e-wasl KHuda-saz baat hai

jaan nazr deni bhul gaya iztirab mein

hai tewri chaDhi hui andar naqab ke

hai ek shikan paDi hui tarf-e-naqab mein

lakhon lagao ek churana nigah ka

lakhon banao ek bigaDna itab mein

wo nala dil mein KHas ke barabar jagah na pae

jis nala se shigaf paDe aaftab mein

wo sehr mudda-talabi mein na kaam aae

jis sehr se safina rawan ho sarab mein

'ghaalib' chhuTi sharab par ab bhi kabhi kabhi

pita hun roz-e-abr o shab-e-mahtab mein

(2714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milti Hai KHu-e-yar Se Nar Iltihab Mein In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Milti Hai KHu-e-yar Se Nar Iltihab Mein is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Milti Hai KHu-e-yar Se Nar Iltihab Mein for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Milti Hai KHu-e-yar Se Nar Iltihab Mein in PDF.