Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue

muddat hui hai yar ko mehman kiye hue

josh-e-qadah se bazm charaghan kiye hue

karta hun jama phir jigar-e-laKHt-laKHt ko

arsa hua hai dawat-e-mizhgan kiye hue

phir waz-e-ehtiyat se rukne laga hai dam

barson hue hain chaak gareban kiye hue

phir garm-nala-ha-e-sharar-bar hai nafas

muddat hui hai sair-e-charaghan kiye hue

phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq

saman-e-sad-hazar namak-dan kiye hue

phir bhar raha hun KHama-e-mizhgan ba-KHun-e-dil

saz-e-chaman taraazi-e-daman kiye hue

baham-digar hue hain dil o dida phir raqib

nazzara o KHayal ka saman kiye hue

dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jae hai

pindar ka sanam-kada viran kiye hue

phir shauq kar raha hai KHaridar ki talab

arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jaan kiye hue

dauDe hai phir har ek gul-o-lala par KHayal

sad-gulistan nigah ka saman kiye hue

phir chahta hun nama-e-dildar kholna

jaan nazr-e-dil-farebi-e-unwan kiye hue

mange hai phir kisi ko lab-e-baam par hawas

zulf-e-siyah ruKH pe pareshan kiye hue

chahe hai phir kisi ko muqabil mein aarzu

surme se tez dashna-e-mizhgan kiye hue

ek nau-bahaar-e-naz ko take hai phir nigah

chehra farogh-e-mai se gulistan kiye hue

phir ji mein hai ki dar pe kisi ke paDe rahen

sar zer-bar-e-minnat-e-darban kiye hue

ji DhunDta hai phir wahi fursat ki raat din

baiThe rahen tasawwur-e-jaanan kiye hue

'ghaalib' hamein na chheD ki phir josh-e-ashk se

baiThe hain hum tahayya-e-tufan kiye hue

(9777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Hue in PDF.