Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera

na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera

habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera

mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai

ki mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera

rah-e-KHwabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-agahi

zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera

suragh-awara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar hun

par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera

hawa-e-subh yak-alam gareban chaaki-e-gul hai

dahan-e-zaKHm paida kar agar khata hai gham mera

na ho wahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-satr-e-agahi

main gard-e-rah hun be-muddaa hai pech-o-KHam mera

'asad' wahshat-parast-e-gosha-e-tanhai-e-dil hai

ba-rang-e-mauj-e-mai KHamyaza-e-saghar hai ram mera

(1409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Na Hoga Yak-bayaban Mandgi Se Zauq Kam Mera in PDF.