Na Lewe Gar KHas-e-jauhar Tarawat Sabza-e-KHat Se

na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se

lagae KHana-e-aina mein ru-e-nigar aatish

farogh-e-husn se hoti hai hall-e-mushkil-e-ashiq

na nikle shama ke pa se nikale gar na KHar aatish

sharar hai rang baad izhaar-e-tab-e-jalwa-e-tamkin

kare hai sang par KHurshid aab-e-ru-e-kar aatish

panawe be-gudaz-e-mom rabt-e-paikar-arai

nikale kya nihaal-e-shama be-tuKHm-e-sharar aatish

KHayal-e-dud tha sar-josh-e-sauda-e-ghalat-fahmi

agar rakhti na KHakistar-nashini ka ghubar aatish

hawa-e-par-fishani barq-e-KHirman-ha-e-KHatir hai

ba-baal-e-shoala-e-betab hai parwana-zar aatish

nahin barq-o-sharar juz wahshat-e-zabt-e-tapidan-ha

bila gardan-e-be-parwa KHarami-ha-e-yar aatish

dhuen se aag ke ek abr-e-dariya-bar ho paida

'asad' haidar-paraston se agar howe do-chaar aatish

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Lewe Gar KHas-e-jauhar Tarawat Sabza-e-KHat Se In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Na Lewe Gar KHas-e-jauhar Tarawat Sabza-e-KHat Se is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Na Lewe Gar KHas-e-jauhar Tarawat Sabza-e-KHat Se for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Na Lewe Gar KHas-e-jauhar Tarawat Sabza-e-KHat Se in PDF.