Nahin Hai ZaKHm Koi BaKHiye Ke Dar-KHur Mere Tan Mein

nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein

hua hai tar-e-ashk-e-yas rishta chashm-e-sozan mein

hui hai mane-e-zauq-e-tamasha KHana-virani

kaf-e-sailab baqi hai ba-rang-e-pumba rauzan mein

wadiat-KHana-e-bedad-e-kawish-ha-e-mizhgan hun

nagin-e-nam-e-shahid hai mere har qatra-e-KHun tan mein

bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki

shab-e-mah ho jo rakh dun pamba diwaron ke rauzan mein

nikohish mana-e-be-rabti-e-shor-e-junun aai

hua hai KHanda-e-ahbab baKHiya jeb-o-daman mein

hue us mehr-wash ke jalwa-e-timsal ke aage

par-afshan jauhar aaine mein misl-e-zarra rauzan mein

na jaanun nek hun ya bad hun par sohbat-muKHalif hai

jo gul hun to hun gulKHan mein jo KHas hun to hun gulshan mein

hazaron dil diye josh-e-junun-e-ishq ne mujh ko

siyah ho kar suwaida ho gaya har qatra-e-KHun tan mein

'asad' zindani-e-tasir-e-ulfat-ha-e-KHuban hun

KHam-e-dast-e-nawazish ho gaya hai tauq gardan mein

fuzun ki doston ne hirs-e-qatil zauq-e-kushtan mein

hoe hain baKHiya-ha-e-zaKHm jauhar tegh-e-dushman mein

tamasha kardani hai lutf-e-zaKHm-e-intizar ai dil

suwaida dagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan mein

dil-o-din-o-KHirad taraj-e-naz-e-jalwa-pairai

hua hai jauhar-e-aina KHel-e-mor KHirman mein

nikohish mane-e-diwangi-ha-e-junun aai

lagaya KHanda-e-naseh ne baKHiya jeb-o-daman mein

(1240) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Hai ZaKHm Koi BaKHiye Ke Dar-KHur Mere Tan Mein In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Nahin Hai ZaKHm Koi BaKHiye Ke Dar-KHur Mere Tan Mein is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Nahin Hai ZaKHm Koi BaKHiye Ke Dar-KHur Mere Tan Mein for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Nahin Hai ZaKHm Koi BaKHiye Ke Dar-KHur Mere Tan Mein in PDF.