Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqad Nahin

nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqad nahin

shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyaad nahin

koi kahe ki shab-e-mah mein kya burai hai

bala se aaj agar din ko abr o baad nahin

jo aaun samne un ke to marhaba na kahen

jo jaun wan se kahin ko to KHair-baad nahin

kabhi jo yaad bhi aata hun main to kahte hain

ki aaj bazm mein kuchh fitna-o-fasad nahin

alawa id ke milti hai aur din bhi sharab

gada-e-kucha-e-mai-KHana na-murad nahin

jahan mein ho gham-e-shadi baham hamein kya kaam

diya hai hum ko KHuda ne wo dil ki shad nahin

tum un ke wade ka zikr un se kyun karo 'ghaalib'

ye kya ki tum kaho aur wo kahen ki yaad nahin

(1913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqad Nahin In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqad Nahin is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqad Nahin for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqad Nahin in PDF.