Nala Juz Husn-e-talab Ai Sitam-ijad Nahin

nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin

hai taqaza-e-jafa shikwa-e-bedad nahin

ishq-o-mazduri-e-ishrat-gah-e-KHusruw kya KHub

hum ko taslim niko-nami-e-farhad nahin

kam nahin wo bhi KHarabi mein pe wusat malum

dasht mein hai mujhe wo aish ki ghar yaad nahin

ahl-e-binash ko hai tufan-e-hawadis maktab

latma-e-mauj kam az saili-e-ustad nahin

wae mahrumi-e-taslim-o-bada haal-e-wafa

jaanta hai ki hamein taqat-e-faryaad nahin

rang-e-tamkin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai

gar charaghan-e-sar-e-rah-guzar-e-baad nahin

sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin

muzhda ai murgh ki gulzar mein sayyaad nahin

nafi se karti hai isbaat tarawish goya

di hai ja-e-dahn us ko dam-e-ijad nahin

kam nahin jalwagari mein, tere kuche se bahisht

yahi naqsha hai wale is qadar aabaad nahin

karte kis munh se ho ghurbat ki shikayat 'ghaalib'

tum ko be-mehri-e-yaran-e-watan yaad nahin

(1599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala Juz Husn-e-talab Ai Sitam-ijad Nahin In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Nala Juz Husn-e-talab Ai Sitam-ijad Nahin is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Nala Juz Husn-e-talab Ai Sitam-ijad Nahin for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Nala Juz Husn-e-talab Ai Sitam-ijad Nahin in PDF.