Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka

naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka

kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

kaw kaw-e-saKHt-jaani hae-tanhai na puchh

subh karna sham ka lana hai ju-e-shir ka

jazba-e-be-iKHtiyar-e-shauq dekha chahiye

sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka

aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae

muddaa anqa hai apne aalam-e-taqrir ka

bas-ki hun 'ghaalib' asiri mein bhi aatish zer-e-pa

mu-e-atish dida hai halqa meri zanjir ka

aatishin-pa hun gudaz-e-wahshat-e-zindan na puchh

mu-e-atish dida hai har halqa yan zanjir ka

shoKHi-e-nairang said-e-wahshat-e-taus hai

dam-e-sabza mein hai parwaz-e-chaman tasKHir ka

lazzat-e-ijad-e-naz afsun-e-arz-e-zauq-e-qatl

nal aatish mein hai tegh-e-yar se naKHchir ka

KHisht pusht-e-dast-e-ijz o qalib aaghosh-e-widaa

pur hua hai sail se paimana kis tamir ka

wahshat-e-KHwab-e-adam shor-e-tamasha hai 'asad'

jo maza jauhar nahin aaina-e-tabir ka

(1491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki ShoKHi-e-tahrir Ka in PDF.