Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane

nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane

kya bane baat jahan baat batae na bane

main bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil

us pe ban jae kuchh aisi ki bin aae na bane

khel samjha hai kahin chhoD na de bhul na jae

kash yun bhi ho ki bin mere satae na bane

ghair phirta hai liye yun tere KHat ko ki agar

koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane

us nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya

hath aawen to unhen hath lagae na bane

kah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai

parda chhoDa hai wo us ne ki uThae na bane

maut ki rah na dekhun ki bin aae na rahe

tum ko chahun ki na aao to bulae na bane

bojh wo sar se gira hai ki uThae na uThe

kaam wo aan paDa hai ki banae na bane

ishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghaalib'

ki lagae na lage aur bujhae na bane

(1583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Nukta-chin Hai Gham-e-dil Usko Sunae Na Bane in PDF.