Nikohish Hai Saza Fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar Ki

nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki

mabaada KHanda-e-dandan-numa ho subh mahshar ki

rag-e-laila ko KHak-e-dasht-e-majnun reshgi baKHshe

agar bowe baja-e-dana dahqan nok nishtar ki

par-e-parwana shayad baadban-e-kashti-e-mai tha

hui majlis ki garmi se rawani daur-e-saghar ki

karun be-dad-e-zauq-e-pur-fishani arz, kya qudrat!

ki taqat uD gai uDne se pahle mere shahpar ki

kahan tak roun us ke KHeme ke pichhe qayamat hai

meri qismat mein ya-rab kya na thi diwar patthar ki

ba-juz diwangi hota na anjam-e-KHud-arai

agar paida na karta aaina zanjir jauhar ki

ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan

nam-e-daman-e-isyan hai tarawat mauj-e-kausar ki

mera dil mangte hain aariyat ahl-e-hawas shayad

ye jaana chahte hain aaj dawat mein samundar ki

'asad' juz aab-e-baKHshidan ze-dariya KHizr ko kya tha

Dubota chashma-e-haiwan mein gar kashti sikandar ki

(1197) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikohish Hai Saza Fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar Ki In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Nikohish Hai Saza Fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar Ki is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Nikohish Hai Saza Fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar Ki for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Nikohish Hai Saza Fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar Ki in PDF.