Phir Hua Waqt Ki Ho Baal-kusha Mauj-e-sharab

phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shana mauj-e-sharab

puchh mat wajh-e-siyah-masti-e-arbab-e-chaman

saya-e-tak mein hoti hai hawa mauj-e-sharab

jo hua gharqa-e-mai baKHt-e-rasa rakhta hai

sar se guzre pe bhi hai baal-e-huma mauj-e-sharab

hai ye barsat wo mausam ki ajab kya hai agar

mauj-e-hasti ko kare faiz-e-hawa mauj-e-sharab

chaar mauj uThti hai tufan-e-tarab se har su

mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-saba mauj-e-sharab

jis qadar ruh-e-nabaati hai jigar tishna-e-naz

de hai taskin ba-dam-e-ab-e-baqa, mauj-e-sharab

bas-ki dauDe hai rag-e-tak mein KHun ho ho kar

shahpar-e-rang se hai baal-kusha mauj-e-sharab

mauja-e-gul se charaghan hai guzar-gah-e-KHayal

hai tasawwur mein z-bas jalwa-numa mauj-e-sharab

nashshe ke parde mein hai mahw-e-tamasha-e-dimagh

bas-ki rakhti hai sar-e-nash-o-numa mauj-e-sharab

ek aalam pe hain tufani-e-kaifiyat-e-fasl

mauja-e-sabza-e-nau-KHez se ta mauj-e-sharab

sharh-e-hangama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul

rah-bar-e-qatra-ba-dariya hai KHosha mauj-e-sharab

hosh uDte hain mere jalwa-e-gul dekh 'asad'

phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

(1460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Hua Waqt Ki Ho Baal-kusha Mauj-e-sharab In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Phir Hua Waqt Ki Ho Baal-kusha Mauj-e-sharab is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Phir Hua Waqt Ki Ho Baal-kusha Mauj-e-sharab for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Phir Hua Waqt Ki Ho Baal-kusha Mauj-e-sharab in PDF.