Phir Is Andaz Se Bahaar Aai

phir is andaz se bahaar aai

ki hue mehr o mah tamashai

dekho ai sakinan-e-KHitta-e-KHak

is ko kahte hain aalam-arai

ki zamin ho gai hai sar-ta-sar

ru-kash-e-sath-e-charKH-e-minai

sabza ko jab kahin jagah na mili

ban gaya ru-e-ab par kai

sabza o gul ke dekhne ke liye

chashm-e-nargis ko di hai binai

hai hawa mein sharab ki tasir

baada-noshi hai baada-paimai

kyun na duniya ko ho KHushi 'ghaalib'

shah-e-din-dar ne shifa pai

(1602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Is Andaz Se Bahaar Aai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Phir Is Andaz Se Bahaar Aai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Phir Is Andaz Se Bahaar Aai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Phir Is Andaz Se Bahaar Aai in PDF.