Phir Kuchh Ek Dil Ko Be-qarari Hai

phir kuchh ek dil ko be-qarari hai

sina juya-e-zaKHm-e-kari hai

phir jigar khodne laga naKHun

aamad-e-fasl-e-lala-kari hai

qibala-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz

phir wahi parda-e-amari hai

chashm dallal-e-jins-e-ruswai

dil KHaridar-e-zauq-e-KHwari hai

wahi sad-rang nala-farsai

wahi sad-gona ashk-bari hai

dil hawa-e-KHiram-e-naz se phir

mahsharistan-e-be-qarari hai

jalwa phir arz-e-naz karta hai

roz bazar-e-jaan-sipari hai

phir usi bewafa pe marte hain

phir wahi zindagi hamari hai

phir khula hai dar-e-adalat-e-naz

garm-bazar-e-faujdari hai

ho raha hai jahan mein andher

zulf ki phir sirishta-dari hai

phir diya para-e-jigar ne sawal

ek fariyaad o aah-o-zari hai

phir hue hain gawah-e-ishq talab

ashk-bari ka hukm-jari hai

dil o mizhgan ka jo muqaddama tha

aaj phir us ki ru-bakari hai

be-KHudi be-sabab nahin 'ghaalib'

kuchh to hai jis ki parda-dari hai

(1726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Kuchh Ek Dil Ko Be-qarari Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Phir Kuchh Ek Dil Ko Be-qarari Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Phir Kuchh Ek Dil Ko Be-qarari Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Phir Kuchh Ek Dil Ko Be-qarari Hai in PDF.