Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya

phir mujhe dida-e-tar yaad aaya

dil jigar tishna-e-fariyaad aaya

dam liya tha na qayamat ne hanuz

phir tera waqt-e-safar yaad aaya

sadgi-ha-e-tamanna yani

phir wo nairang-e-nazar yaad aaya

uzr-e-wamandagi ai hasrat-e-dil

nala karta tha jigar yaad aaya

zindagi yun bhi guzar hi jati

kyun tera rahguzar yaad aaya

kya hi rizwan se laDai hogi

ghar tera KHuld mein gar yaad aaya

aah wo jurat-e-fariyaad kahan

dil se tang aa ke jigar yaad aaya

phir tere kuche ko jata hai KHayal

dil-e-gum-gashta magar yaad aaya

koi virani si virani hai

dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

main ne majnun pe laDakpan mein 'asad'

sang uThaya tha ki sar yaad aaya

(1374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Phir Mujhe Dida-e-tar Yaad Aaya in PDF.