Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain

sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain

KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain

yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan

lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain

thin banat-un-nash-e-gardun din ko parde mein nihan

shab ko un ke ji mein kya aai ki uryan ho gain

qaid mein yaqub ne li go na yusuf ki KHabar

lekin aankhen rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain

sab raqibon se hon na-KHush par zanan-e-misr se

hai zuleKHa KHush ki mahw-e-mah-e-kanan ho gain

ju-e-KHun aankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq

main ye samjhunga ki shamen do farozan ho gain

in pari-zadon se lenge KHuld mein hum intiqam

qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain

nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain

teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gain

main chaman mein kya gaya goya dabistan khul gaya

bulbulen sun kar mere nale ghazal-KHwan ho gain

wo nigahen kyun hui jati hain ya-rab dil ke par

jo meri kotahi-e-qismat se mizhgan ho gain

bas-ki roka main ne aur sine mein ubhrin pai-ba-pai

meri aahen baKHiya-e-chaak-e-gareban ho gain

wan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya jawab

yaad thin jitni duaen sarf-e-darban ho gain

jaan-faza hai baada jis ke hath mein jam aa gaya

sab lakiren hath ki goya rag-e-jaan ho gain

hum muwahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum

millaten jab miT gain ajza-e-iman ho gain

ranj se KHugar hua insan to miT jata hai ranj

mushkilen mujh par paDin itni ki aasan ho gain

yun hi gar rota raha 'ghaalib' to ai ahl-e-jahan

dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho gain

(3012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain in PDF.