RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama

ruKH-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shamma

hui hai aatish-e-gul aab-e-zindagani-e-shamma

zaban-e-ahl-e-zaban mein hai marg KHamoshi

ye baat bazm mein raushan hui zabani-e-shamma

kare hai sarf ba-ima-e-shola qissa tamam

ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-KHwani-e-shamma

gham us ko hasrat-e-parwana ka hai ai shole

tere larazne se zahir hai na-tawani-e-shamma

tere KHayal se ruh ehtizaz karti hai

ba-jalwa-rezi-e-baad o ba-par-fishani-e-shamma

nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahaar na puchh

shaguftagi hai shahid-e-gul-e-KHizani-e-shamma

jale hai dekh ke baalin-e-yar par mujh ko

na kyun ho dil pe mere dagh-e-bad-gumani-e-shamma

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama In English By Famous Poet Mirza Ghalib. RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama in PDF.