Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko

wan pahunch kar jo ghash aata pae-ham hai hum ko

sad-rah aahang-e-zamin bos-e-qadam hai hum ko

dil ko main aur mujhe dil mahw-e-wafa rakhta hai

kis qadar zauq-e-giriftari-e-ham hai hum ko

zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan

tere kuche se kahan taqat-e-ram hai hum ko

jaan kar kije taghaful ki kuchh ummid bhi ho

ye nigah-e-ghalat-andaz to sam hai hum ko

rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bang-e-hazin

nala-e-murgh-e-sahar tegh-e-do-dam hai hum ko

sar uDane ke jo wade ko mukarrar chaha

hans ke bole ki tere sar ki qasam hai hum ko

dil ke KHun karne ki kya wajh wa-lekin na-chaar

pas-e-be-raunaqi-e-dida aham hai hum ko

tum wo nazuk ki KHamoshi ko fughan kahte ho

hum wo aajiz ki taghaful bhi sitam hai hum ko

lucknow aane ka bais nahin khulta yani

hawas-e-sair-o-tamasha so wo kam hai hum ko

maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shahr

azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai hum ko

liye jati hai kahin ek tawaqqo 'ghaalib'

jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko

abr rota hai ki bazm-e-tarab aamada karo

barq hansti hai ki fursat koi dam hai hum ko

(1972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko in PDF.