Yak-zarra-e-zamin Nahin Be-kar Bagh Ka

yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka

yan jada bhi fatila hai lale ke dagh ka

be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi

khincha hai ijz-e-hausla ne KHat ayagh ka

bulbul ke karobar pe hain KHanda-ha-e-gul

kahte hain jis ko ishq KHalal hai dimagh ka

taza nahin hai nashsha-e-fikr-e-suKHan mujhe

tiryaki-e-qadim hun dud-e-charagh ka

sau bar band-e-ishq se aazad hum hue

par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka

be-KHun-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubar

ye mai-kada KHarab hai mai ke suragh ka

bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil

abr-e-bahaar KHum-kada kis ke dimagh ka?

(2110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yak-zarra-e-zamin Nahin Be-kar Bagh Ka In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Yak-zarra-e-zamin Nahin Be-kar Bagh Ka is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Yak-zarra-e-zamin Nahin Be-kar Bagh Ka for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Yak-zarra-e-zamin Nahin Be-kar Bagh Ka in PDF.