Nala Rukta Hai To Sar-garm-e-jafa Hota Hai

nala rukta hai to sar-garm-e-jafa hota hai

dard thamta hai to be-dard KHafa hota hai

phir nazar jhenpti hai aankh jhuki jati hai

dekhiye dekhiye phir tir KHata hota hai

ishq mein hasrat-e-dil ka to nikalna kaisa

dam nikalne mein bhi kam-baKHt maza hota hai

haal-e-dil un se na kahta tha hamin chuk gae

ab koi baat banaen bhi to kya hota hai

aah mein kuchh bhi asar ho to sharar-bar kahun

warna shoala bhi haqiqat mein hawa hota hai

hijr mein nala-o-fariyaad se baz aa 'ruswa'

aisi baaton se wo bedard KHafa hota hai

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala Rukta Hai To Sar-garm-e-jafa Hota Hai In English By Famous Poet Mirza Hadi Ruswa. Nala Rukta Hai To Sar-garm-e-jafa Hota Hai is written by Mirza Hadi Ruswa. Read famous Poem Nala Rukta Hai To Sar-garm-e-jafa Hota Hai for youth and Student by Mirza Hadi Ruswa. Free Download Nala Rukta Hai To Sar-garm-e-jafa Hota Hai in PDF.