Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai

gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko apne qarar hai

karun gham sitam ka main kya bayan mera gham se sina figar hai

wale shahr-e-dehli ye tha chaman ki tha sab tarah ka yahan aman

wo KHitab is ka to miT gaya faqat ab to ujDa dayar hai

ye reaya hind tabah hui kahun kya jo un pe jafa hui

jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye to qabil-e-dar hai

shab-o-roz phulon mein jo tulen wo yun KHar-e-gham se figar hun

mile tauq qaid mein jab unhen kahen badle gul ke ye haar hai

jo suluk auron se karte the wahi ab hain kitne zalil-o-KHwar

wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai

ye zamana hai wo bura falak chalo bach ke sab se alag alag

na rafiq koi kisi ka yan na kisi ka koi bhi yar hai

kya 'husami' Dar tujhe hashr ka jo KHuda rakhe tujhe barmala

tujhe hai wasila rasul ka wahi tera hami-e-kar hai

(586) Peoples Rate This

Mirza Hussamuddin Haidar Husami's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai In English By Famous Poet Mirza Hussamuddin Haidar Husami. Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai is written by Mirza Hussamuddin Haidar Husami. Read famous Poem Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai for youth and Student by Mirza Hussamuddin Haidar Husami. Free Download Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai in PDF.