Be-wajh Nahin Gard Pareshan Pas-e-mahmil

be-wajh nahin gard pareshan pas-e-mahmil

aata hai koi be-sar-o-saman pas-e-mahmil

az-bas kashish-e-ishq se aagah thi laila

thi dekhti wo fitna-e-dauran pas-e-mahmil

kis soKHta ki KHak se uTTha hai bagula

ek shoala-e-jawwala hai pechan pas-e-mahmil

fikr-e-qadam-e-naqa hua qais ko paida

dekha jo hain sahra-e-mughilan pas-e-mahmil

ai naqa-kash itni bhi na tu tez-rawi kar

majnun zi-KHud-o-rafta hai nalan pas-e-mahmil

shayad main use dekhun 'hawas' ba-lab-e-KHandan

jata hun is ummid pe giryan pas-e-mahmil

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-wajh Nahin Gard Pareshan Pas-e-mahmil In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Be-wajh Nahin Gard Pareshan Pas-e-mahmil is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Be-wajh Nahin Gard Pareshan Pas-e-mahmil for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Be-wajh Nahin Gard Pareshan Pas-e-mahmil in PDF.