Dekhen Kya Ab Ke Asiri Hamein Dikhlati Hai

dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai

log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai

ghash chala aata hai aur aankh mundi jati hai

hum ko kya kya meri be-taqati dikhlati hai

kya suna us ne kahin ruKHsat-e-gul ka mazkur

andalib aaj qafas mein paDi chillati hai

taer-e-ruh ko parwaz ka har dam hai KHayal

qafas-e-tan mein meri jaan ye ghabraati hai

dekh rote mujhe hans hans kahe jaana har dam

jaan se mujh ko to teri ye ada bhati hai

bazm-e-hasti mein tu baiTha hai 'hawas' kya ghafil

kuchh jo karna hai tu kar umr chali jati hai

(559) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhen Kya Ab Ke Asiri Hamein Dikhlati Hai In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Dekhen Kya Ab Ke Asiri Hamein Dikhlati Hai is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Dekhen Kya Ab Ke Asiri Hamein Dikhlati Hai for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Dekhen Kya Ab Ke Asiri Hamein Dikhlati Hai in PDF.