Hanste The Mere Haal Ko Jo Yar Dekh Kar
hanste the mere haal ko jo yar dekh kar
un sab ne ro diya mujhe bimar dekh kar
sab ham-safir chhoD ke tanha chale gae
kunj-e-qafas mein mujh ko giraftar dekh kar
kya jaane kya ghazab hai ye jadu bhari nigah
ghash kar gaya hun main jise yak bar dekh kar
KHun-e-jigar ke sath kahin ji chala na jae
rona zara tu dida-e-KHun-bar dekh kar
apne 'hawas' pe jab se ki tu mehrban hua
jalte hain raat din use aghyar dekh kar
(631) Peoples Rate This