Jangalon Mein Justuju-e-qais-e-sahrai Karun

jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun

kab talak DhunDun kahan tak jada-paimai karun

gar koi mane na ho wan sajda karne ka mujhe

aastan-e-yar par barson jabin-sai karun

bazm-e-hasti mein nahin juz bekasi apna rafiq

kis ki KHatir dosto main mahfil-arai karun

ghaarat-e-dil ka jo karta hai irada tark-e-chashm

ghamza kahta hai main taraj shakebai karun

le gae jab tere diwane ko isa ne kaha

har ghaDi main kya ilaj-e-mard-e-saudai karun

aashna koi nazar aata nahin yan ai 'hawas'

kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun

(500) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangalon Mein Justuju-e-qais-e-sahrai Karun In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Jangalon Mein Justuju-e-qais-e-sahrai Karun is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Jangalon Mein Justuju-e-qais-e-sahrai Karun for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Jangalon Mein Justuju-e-qais-e-sahrai Karun in PDF.