Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-iKHtiyar Aai

jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai

hua diwanon mein jab ghul bahaar aai bahaar aai

hua tha marg se ghafil main kis din josh-e-wahshat mein

saba kyun le ke mere samne musht-e-ghubar aai

dikhae ranj piri ke ajal tere taghaful ne

tujhe aana tha pahle aah tu anjam kar aai

hamare tausan-e-umr-e-rawan ke tez karne ko

shamim-e-zulf dosh-e-baad-e-sarsar par sawar aai

na paya waqt ai zahid koi main ne ibaadat ka

shab-e-hijran hui aaKHir to subh-e-intizar aai

na kuchh KHatra KHizan ka hai na ehsan-e-bahaar us par

adam se apni shaKH-e-arzu be-barg-o-bar aai

hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani

hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai

jo nang-e-ishq hain wo bul-hawas fariyaad karte hain

lab-e-zaKHm-e-'hawas' se kab sada-e-zinhaar aai

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-iKHtiyar Aai In English By Famous Poet Mirza Mohammad Taqi Hawas. Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-iKHtiyar Aai is written by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Read famous Poem Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-iKHtiyar Aai for youth and Student by Mirza Mohammad Taqi Hawas. Free Download Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-iKHtiyar Aai in PDF.